Arjun finds jewels in his cow's dung and uses the money to improve his life. When Vishal sees this, he steals Arjun's cow to find jewels for himself. Arjun discovers his cow at Vishal's house and calls the police. They find Vishal trying to find jewels in the cow's dung. The police return Arjun's cow and warn Vishal not to steal cows again. Arjun is happy to have his cow back.
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0 ratings0% found this document useful (0 votes)
40 views4 pages
Gai Ke Gobar Main Heere
Arjun finds jewels in his cow's dung and uses the money to improve his life. When Vishal sees this, he steals Arjun's cow to find jewels for himself. Arjun discovers his cow at Vishal's house and calls the police. They find Vishal trying to find jewels in the cow's dung. The police return Arjun's cow and warn Vishal not to steal cows again. Arjun is happy to have his cow back.
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 4
Story Name: Gai ke Gobar main heere!
Characters : Arjun, Vishal, Maa, Police
Sc.No Character Dialogue 1 Scene (Ghar) Vo Arjun 21 saal ka anath ladka hain, bachpan me hi arjun ke maa baap use chod ke iss duniye se chale gaye the. 8 saal hone tak arjun ki dadi ne, uska khayal rakh tha, aur fir wo bhi swarg sidhaar gayi… Vo Tab se ab tak tak arjun akela rehta hai. Apne akelepan ko mitane ke liye arjun 6 mahine se paisa jama kar raha tha, usse ek tv khareedna tha…. Arjun (self (happy )ab jaa ke 10 hazar rupay jama huye hai, tv lene talk) ke liye, aaj hi bazar jaakar tv le aunga! 2 Scene (vishal ke ghar ke bahar ) Vo Arjun ke bagal main hi vishaal rehta tha… Vishal apni gai ko har din marta tha.. aur aaj bhi apni gai ko maar raha tha. Gai zor zor se cheekh rahi thi… vishal ko gai pe thodi bhi daya nahi aati. Tabhi arjun beech main aa jaata hai… Arjun Are vishal bhai! Kitna maaroge iss gai ko! Vishal Tu hatt ja arjun! Aaj me iss gai ko mar hi dunga. Tu beech me mat aa.. Arjun Mar kyu rahe ho? pahle ye toh batao? Vishal Chara toh peth bhar ke khati hain! Aur dhoodh ke naam pe 1-2 litre hi doodh deti hai! Arjun Accha dhoodh nahi deti hain, toh mar donge kya? 4-5 saal pahle ka socho! agar ye gai nahi hoti toh? Toh Tumhara pura parivaar bhookha mar jaata. Issi gai ka dhoodh bech bech ke apna ghar banaya hai. Bacho ki padhai karwai, Aur ab ye gai budhi ho gai hai, dhoodh kam de rahi hain toh mar doge kya? Vishal Tu zyada bhasan mat de! Meri gai hai, jo chahe main vo karunga! tu bolne wala kon hota hain? Vo Arjun ko gai pe bahot daya aati hain.. Arjun Agar main ye gayi khareed lu toh! Vishal Haan fir tu jo chahe usse saath kar! Sir pe baithakar rakh! Vishal Theek hai hai…. Ye lo paise ab se ye gai meri hai! VO Jis paiso se arjun tv khareedne wala tha usse usne gai khareed li… Story Name: Gai ke Gobar main heere! Characters : Arjun, Vishal, Maa, Police 3 Scene (Arjun ghar) Vo Arjun gai ko apne ghar lata hain.. jaha jaha gai ko mar lagi hoti hain arjun vaha davai lagta hain.. Arjun Tujhe pata hain? 6 mahine se me paisa jama kar raha tha. Ghar me tv lane ke liye.. par un paiso se tujhe kharid laya.. jab me khet jaunga vaha se tere liye chara bhi le aunga. Vo Kuch hi dino me arjun gai ko apna saathi samjh leta hain. Har samay arjun gai se baat karta rahta hain.. uska akelapan door ho gaya tha.. roz arjun gai ke liye taza chara bhi laata tha! Gai ki tabiyat bhi acchi ho gayi thi… gayi arjun ke saath bohat khush thi… 4 Scene (gobar me hira) Vo Ek subha arjun gai ka gobar saf karne gaya tha… Toh usse gobar me kuch chamkti huyi cheez dikhai deti hain… Vo Arjun pass jaake dekhta hain, toh gobar me hira hota hain. Arjun Gobar main se saare heere nikalta hai… arjun (laughing)Itne sare heere! Itne heero se toh meri zindagi badal jaayegi! 5 Scene (nayi tv) Vo Arjun heere bache ke apne halat theek karta hain.. apne ghar main badi tv lata hain.. ghar ka pura samane badal deta hain.. apne ghar ko puri tarah se naya bana deta hai! 6 Scene (gobar uthate huye) Vo Iske baad har din Arjun ko gobar main heere mila karte the… lekin ek din Vishal Arjun ko gobar se heere nikalte hue dekh leta hai… Vishal (self Accha..! arjun kaise amir bana ab pata chala, mujhe! Me talk) bhi yahi sochu ke iss anath ke pass itna paisa kaise ayaa. Ye gai toh meri thi na.. maltab heere bhi mera hue! 7 Scene (gai chori ) Vo Agli subha arjun dekhta hain. Ki uskii gai ho chuki thi… Arjun (Crying) Meri gai! Kaha gayi? Hey bhagwaan ! Meri gayi kaha gayi! Vo Arjun pure gaon me apni gai dhundhta hain.. Arjun Chacha aapne meri gai kahi dekhti hain? Story Name: Gai ke Gobar main heere! Characters : Arjun, Vishal, Maa, Police Chacha Nahi arjun beta maine toh nahi dikhi? Arjun Maa ji apne dekhi hain? Maa ji Nahi maine bhi nahi dekhi hain. Arjun (rote huye) jis ne bhi meri gai chori ki hain mujhe dedo! Vo mere liye gai nahi hain! Mera parivar hain. 8 Scene (Vishal ke ghar) Vo Arjun vishal ke ghar ke pass se gujrat hain.. use apni gai ki awaz sunai deti hain.. Arjun Vishal! Vishal! meri gai tune hi chori ki hain na? Vishal Tu pagal ho gaya hain! Bhala mai teri gai kyu chori karunga? Arjun Toh ye awaz kis ki thi? Mujhe ek bar andar aane de. Vishal Jaa yaha se! yaha koi gai nahi hain. Vo Vishal arjun ko bhaga deta hain.. arjun ki gai vishal ne hi chori thi ye arjun samaj jaata hai! Vishal Subha se khila raha hu! Ab toh gobar kar de, mujhe bhi arjun ki raha ameer bana hain.. jaldi se heere ka gobar kar. Vo Kuch der baad Arjun wapas darwaze par aata hai… Arjun Vishal(shout) Vishal Aaj toh arjun mere hath se mare ga! Vo Vishal Jaise hi darwaza kholta hain. Arjun ke sath ko po- lice wale hote hain.. police wale vishal ko dhaka deke andar aa jaate hain. Arjun Dekha sir! Is vishal ne hi meri gai chori ki thi. Police Kyu re! Tere pass itne gai bhes hain. Fir tune iss ka gai kyu chori kiya? Vishal Sahab ye heere ka gobar dene wali gai hain! Police Kya? Vishal Sacchi sahab! vo Tabhi gai gobar deti hain.. vishal jaldi jaldi gobar main hath dalta hain aur heera dhunde lagta hain par usse heera nahi milta hain. Police Tera diamg toh theek hain na? arjun tu apni gai leke jaa! Vishaal agli baar tune koi gai chori ki toh tera bura haal Story Name: Gai ke Gobar main heere! Characters : Arjun, Vishal, Maa, Police karunga! Vo Arjun ko uski gai mil gayi. Aur vo apne gai ke sath khushi khushi rahne laga. Iss din ke baad gai ne kabhi heero ka gobar nahi kiya par ab arjun ko heero ki koi za- roorat hi nahi thi… arjun khush tha! (Freeze)