100% found this document useful (2 votes)
3K views44 pages

Options Strategies Ebook (Hindi Version)

Uploaded by

rohitjr20
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
100% found this document useful (2 votes)
3K views44 pages

Options Strategies Ebook (Hindi Version)

Uploaded by

rohitjr20
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 44

P R E S E N T B Y S T O X M E E

OPTIONS
STRATEGIES

I N T R A D A Y S P E C I A L
Introduction

Hello friends aj ke es ebook me ham five strategies par study karne


wale hai jaise ki 1) Fake Out Option Strategy. 2) Support &
Resistance Option Strategy. 3) Volume Profile Option Strategy. 4)
Level Break Option Strategy. 5) Supertrend Option Strategy ham en
strategies ko nifty banknifty me options buy sell karne ke liye use
karne wale hai friends ham sab ne kafi sari books ebooks par study
kari hongi but es ebook me sari strategies kuch es tarah se samjhayi
hai jaise ki ham live market me sikh rahe hai ap mese kafi traders
ayse honge jo kafi dino se options me trade kar rahe hai but voh sabh
ab tak profit nikal nahi pa rahe hai sif loss hi kar rahe hai. ab eska
solution ek hi hai jo five strategies apko es ebooks me milne wali hai
usme se koi bhi ek strategy par study karni hai or usi strategy par
work karna hai. ham market me loss esi liye karte hai ki ham koi bhi
ek setup ko follow nahi karte ager ham kisi bhi ek setup ya strategy
ko follow karenge to ham aasani se profit me aa sakte hai. koi bhi
strategy market me har baar kam nahi karti matlab ager ham kisi bhi
ek strategy ko follow kar ke 10 trade le rahe hai or unme 3-4 trades
failed honge hi lekin jo hamare 6 trades chalenge usme hame big
points nikalne hai tabhi ham options trading me success hasil kar
sakte hai beginner traders hamesha ek galti karte hai jaise ki jab
unka trade chalne lagta hai tab woh small profit leker trade exit kar
dete hai or jab trade galt jata hai tab voh stoploss ke liye wait karte
hai. hame eska ulta karna hai jab trade sahi jaye tab target ka wait
karna hai or jab trade galt jaye tab koshish karni hai small loss me
trade se bahar ane ki. kafi traders option me trade karte wakt Out Of
The Money matlab OTM me trade karte hai kya OTM me hame trade
karna chahiyen ? (Nahi) Qki OTM me momentum kafi slow hota hai
CE/PE ITM ATM OTM

Premium High Medium Low

Risk High Medium Low

Reward High Medium Low

Winning High Medium Low


Jaise ki ham OTM ki baat kar rahe the hame OTM sirf Expiry ke din hi
buy karna chahiye qki expiry ke din badi momentum aati rahti hai
hame option me ITM yafir ATM buy karna chahiye uper diye gaye
table me hame ye to pata chal hi gaya ki option me kis tarah ki risk
hoti hai. sari strategy par kam se kam 15 days tak practice karni hai
uske baad market me small lot ke sath trading karni hai jitni jhyada
aap practice karoge utna hi apko confidence aayega qki ye sab
strategies hame day trading me use karni hai or day trading me
sabse jyada experience hi important hai so friend's ab ham badte hai
hamri strategy ke taraf
Fake Out Option Strategy

Friends hamne kahi baar suna hai ki market retail traders ko aksar
trap karta rahta hai ham es fake out strategy me trap par kis time
options buy or sell karna hai ye janenge es strategy me ham 1
minutes se leker 15 minutes tak ka time frame use kar sakte hai es
strategy me ham price action ke sath psychology bhi use karege so
friends badte hai es strategy ke taraf
Chart 1

Resistance

Mareket Open

5 Minutes Time Frame

Friends chart 1 me market open hote hi upside ki momentum kar


raha hai yaha market open hote hi kafi sari buying positions active
ho chuki hai market ne top par ek resistance level bana liya hai
logically price jab resistance break karega tab us level par or buying
aayegi hame waha option buy nahi karna hai ham vaha buy tabhi
karenge jab price resistance level ke uper sustain ho jayega. ager
price resistance break karke wapis niche aaya eska matlab breakout
failed ho chuka hai
Chart 2

Resistance

Small Pullback

5 Minutes Time Frame

Chart 2 me ham dekh sakte hai ki jaise hi resistance level break huaa
price resistance level ke uper sustain nahi ho paya or price vaha se
vapis niche aagaya logically yaha jino ne resistance ke uper buy
position banayi hongi unke stoploss hit ho chuke honge uper chart
me ham fake out ke baad doji candle dekh pa rahe hai ham use
small pullback bhi kah sakte hai ab vaha hame conformation ke liye
ek or bearish candle chahiye tab jake ham yaha position banayenge
Chart 3

Resistance

5 Minutes Time Frame

Chart 3 me hame great conformance mil chuki hai yaha ham


position bana sakte hai ham PE buy kar sakte hai CE sell kar sakte
hai or future sell kar sakte hai
Chart 4

5 Minutes Time Frame

Asha karta hu ki ye example apko samjh aaya honga badte hai next
example ke tarf
Chart 1
Mareket Open

Level 1

Level 2

Level 3

Level 4

5 Minutes Time Frame


Chart 1 me market ke open hote hi achhi khasi selling aa chuki hai
yaha hamne kuch level banaye hai level 1 se leker level 4 tak. ab
logically jab level 1 break huaa tab kafi traders ne vaha entry ki
hongi kuch traders ne level 2 par selling ki hongi kuch ne level 3 par
ab yaha level 4 jab break honga tab or selling aayegi. yaha hamara
logic kuch es tarah ka honga or hona bhi chahiye but hame ek baat
hamesha pata honi chahiye jab market hame simple opportunity
bar bar deta hai eska matlab market hame trap karna chahta hai.
chart 1 me ager price level 4 break hote hi down side ki moment
karega to vaha hamare liye Opportunity seling side ki hai but level
break hote hi price level 4 ke aas pas hi raha to eska matlb ye hai ki
market hame trap karna chahta hai
Chart 2
Mareket Open

5 Minutes Time Frame

Chart 2 me price ne level 4 ko break kar diya yaha hame clear selling
side ka view dikh raha hai yaha ham PE option tabhi buy karenge jab
price lower low momentum karega tab tak ham yaha wait karenge
qki market hame trap bhi kar sakta hai
Chart 3

Level 4

Previous Low
5 Minutes Time Frame

Jaise se ki hamne plan kiya tha price level 4 ko break karne ke baad
ager usi level ke paas raha to vaha ham trap ho sakte hai
ager chart 3 me price previous low break karega to ham yaha PE buy
karenge but ager yahase price vapis level 4 ke uper aa gaya to vaha
ham ye man lenge ki market ne yaha trap kiya hai or ham CE buy
karenge
Chart 4

Level 4

5 Minutes Time Frame

Chart 4 me ham dekh sakte hai ki price wapas level 4 ke uper aa gaya
eska matlab ye huaa ki jin jin traders ne breakdown par sell position
banayi hongi unke stoploss hit ho gaye honge or vo sab trap ho gaye
honge ab yaha se market up side ja sakta hai jaise hi price small
pullback lenga ham waha buying position banayenge
Chart 5

Small Pullback

5 Minutes Time Frame

Chart 6

5 Minutes Time Frame

Chart 5 me or chart 6 me hamne example ke sath strategy samjh li


hai market hamesha hame trap karne ki koshish karta rahta hai
hame es market me hamesha satark rahna hai. hame market me
hamesha ek point yad rakhna hai ki jab bhi market trap karta hai tab
badi momentum aane ke chances jyada bad jate hai to ab se market
jab bhi hame trap karega tab ham badi momentum ki expectation
market me rakhenge
Strategy Example

Trap For Sellers

Trap For Sellers


Trap For Sellers

Trap For Buyers


Support & Resistance Option Strategy

Friends es strategy me ham support and resistance par focus karne


wale hai sabse pahle to hame support and resistance ke bare me
pata hona chahiye man lete hai ek level hai jaha price touch karke
wapis niche aa raha hai vo level hamare liye resistance level hai or ek
level aysa bhi hai jaha se price touch karke wapis uper aa raha hai vo
level hamare liye support level hai jaise ki niche chart me ham dekh
pah rahe hai

Resistance

Support

Ham es strategy me 5 minutes se leker 15 minutes tak koi bhi time


frame use kar sakte hai es strategy ka example ham 5 minutes ke
time frame par dekhenge ye strategy ham nifty banknifty ya fir
stock me bhi use kar sakte hai ab ham badte hai hamri strategy ke
taraf
Chart 1
1 2 3

5 Minutes Time Frame

Chart 1 me ham dekh paa rahe hai ki market ne 3 baar resistance


level break karne ki koshis ki hai but market resistance break nahi
kar paya es tarah ki situation me hame price ki moment par dhyan
dena hota hai ager market resistance line ko big volume candle ke
sath break karta hai to ham buy side jayenge ager market resistance
line ko break nahi kar paya or waha se hi price reject huaa to ham
sell side jayenge
Chart 2
Resistance

5 Minutes Time Frame

Chart 2 me market gap up open hua but market open hote hi price
resistance line ke niche aa gaya matlab price resistance line ko
touch karke reject ho raha hai yaha ham sell side ke bare me
sochenge but ham yaha tab tak selling ke bare me nahi soch sakte
hai jab tak price big volume ke candle bana na start nahi kar deta q
ki ham options me trade kar rahe hai ager ham options buy karke
chalenge or market sideway ho gaya to waha hamara loss hona start
ho jayega esi liye hame momentum par hi options buy sell karna hai
Chart 3

Big Volume
Candle

5 Minutes Time Frame

Chart 3 me ham dekh sakhte hai price resistance ke pas se reject kar
raha hai or niche jane ki koshis kar raha hai es tarah ki market me
hame big volume candle ke baad hi trade me enter karna hai chart 3
me hame big volume ki candle dikh rahi hai yaha ham trade me
enter kar sakte hai yaha ham CE Sell kar sakte hai PE buy kar sakte
hai or future sell kar sakte hai yaha ham PE buy karenge

Chart 3

5 Minutes Time Frame

So friends hamne sell side ke example me dekha ki kis tarah se


resistance par price reject hota hai or hame kis tarah se trade me
enter hona hai ab ham dekhte hai buy side ka example support level
ke sath
Chart 1

Support Level

1 2 3 5 Minutes Time Frame

Friends chart 1 me price ne 3 baar support liya hai yaha price


support break karne ki koshish kar raha hai par price support level
ko touch karke wapis uper aa raha hai yaha ham buying side ka view
rakh sakte hai
Chart 2

1 2 3 5 Minutes Time Frame

Yaha price ne 3 baar support level ko touch kiya hai ab price support
leker uper jane ki koshis kar raha hai yaha ham price ko follow kar
rahe hai matlab ham yaha price action use kar rahe hai hame ye to
pata hai jab bhi price upside jaata hai tab higher high, higher low
banate huve uper jata hai yaha ham entry ke liye esi point par dhyan
denge
Chart 3

Resistance Level 2

Target 2

Resistance Level 1

Target 1

1 2 3 5 Minutes Time Frame

Chart 3 me ham clear dekh sakte hai ki price higher high ki


confirmation dekar uper ja raha hai yaha hamare pass target ke liye
2 level hai jaise ham resistance bhi kah sakte hai ab chart me jo
resistance level 1 hai use dekh kar hamare man me ek sawal to aa hi
raha honga jaise ki price resistance level ko touch kar ke niche aata
hai to yaha bhi price resistance level 1 se niche aana chahiye.
Ab es tarah ki situation me hame ek baat hamesha yaad rakhni hai
jab bhi price resistance level ko big volume candle ke sath break
karta hai tab vo real breakout hota hai. to jab bhi price resistance
level ya fir support level ko break kare to vo big volume candle honi
chahiye
Chart 4

1 2 3 5 Minutes Time Frame


Chart 4 me resistance level 1 big volume candle ke sath break huaa
hai es tarah ki situation me jab bhi resistance level ya fir support
level big volume candle ke sath break hota hai tab trade hame hold
karna hai q ki vaha hame or bhi bada momentum mil sakta hai ager
price resistance level ya fir support level ke pass slow momentum
kar raha ho to aysi situation me hame trade se exit kar lena hai vaha
hame trade hold nahi karna hai. yaha ham CE buy kar sakte hai PE
sell kar sakte hai or future buy kar sakte hai
Strategy Example
Volume Profile Option Strategy

How To Add Volume Profile In Chart ?

Step 1

Step 2

Point 1

Point 2
Chart 1

5 Minutes Time Frame

Friends chart 1 me ham dekh rahe hai ki price Niche jane ki koshish
kar raha hai but hamare pass yaha koi bhi Set-Up nahi hai yaha ham
Volume Profile tool ka use karne wale hai hai ham Volume Profile
use kar ke ye dhekhenge ki Previous day me kya huaa hai
Chart 2

5 Minutes Time Frame

Friends chart 2 me hamne volume profile add kar diya hai hame
yaha ek level mila hai jaha buying selling sabse jyada huyi hai ab
ham esi level ko highlights karke wait karenge ki Price level tak aye
yaha hamere 2 view hai ager price level par aake reject honga to
ham vaha sell side jayenge or price leval ko break karega to ham sell
side jayenge
Chart 3

Previous Low

5 Minutes Time Frame

Friends chart 3 me hamne ek level bana liya hai ab ham wait karte
hai ki price us level tak aata hai ya nahi. friends hame pata hai ki
market ek dam se niche nahi aata hai lower low lower high banate
huve niche aata hai bas ham esi Point ko yad rakhker yaha wait kar
rahe hai ager price previous low ko break karega to ham break ke
bad hi PE option buy kar lenge lekin break hone ke baad. yaha ab
ham sirf wait hi karenge

Chart 4

5 Minutes Time Frame

Friends chart 4 me ham dekh sakte hai ki hamne jo level banaya tha
price usi leval se reject ho raha hai ager ham yaha ek or baar volume
profile tool lagaker dekhenge to hame or bhi achese samjh ayega ki
price kaha jane ki koshish kar raha hai
Chart 5

5 Minutes Time Frame


Yaha ham clear dekh pa rahe hai price volume profile ke level ko
reject kar ke niche jaa raha hai yaha ham sell side ki position bana
sakte hai
yaha ham PE Buy kar sakte hai CE Sell kar sakte hai or future sell kar
sakte hai yaha trade hamare fever me chala to hame yaha bade point
nikalna hai matlab target ka wait karna hai or trade hamare fever me
nahi chala to hame small loss me exit karna hai
Chart 6

5 Minutes Time Frame

Friends chart 6 tak hamne sell side ka example dekha ab ham buy
side ka example dekhenge
Chart 1

5 Minutes Time Frame

Friends chart 1 me ham dekh sakte hai. price support lekar up side
janeki koshish kar raha hai yaha market close hai yaha ham next day
ke liye planning kar rahe hai
yaha 2 tarah ka momentum ho sakta hai yato ye resistance ko Break
kar ke uper ja sakta hai ya fir resistance ko reject kar ke niche aa
sakta hai ham yaha volume profile ka use karke price ki moment ko
samjh ne ki koshish karenge

Chart 2

5 Minutes Time Frame

Friends chart 2 me hamne volume profile tool add kar liya yaha
hame ek important level mila jaha sabse jhyada trading huyi hai
yaha ham level banake tool remove kar dete hai taki hame chart
achese samjh aaye
Chart 3

5 Minutes Time Frame

Friends chart 3 me hame ye samjh aa raha hai ki morning me jaha


market open huaa tha market usi level ke aas pass aake close huaa
usi ke sath volume profile ke level ko price ne break karke uske uper
closing di ab next day market upside open huaa to ham buy side
jayenge ager market down side open huaa to jab tak previous day
ka low break nahi hota tab tak ham koi bhi position nahi banayenge
Chart 4

GapUp Opining

5 Minutes Time Frame

Friends chart 4 me market gap up open huaa hai ham hamre


strategy ke hisab se buy side jayenge yaha hame 1st candle banne ka
Wait karna hai q ki hame bullish candle ke baad entry karni hai
stoploss hame low par lagana hai jaise ki chart 5 hai
Chart 5

5 Minutes Time Frame

Chart 5 me hamara risk rewards ratio 1:3 hai matb ager ham 10 Point
ka stoploss laga rahe hai to hamara target 30 point ka hai yaha ham
CE buy kar sakte hai PE sell kar sakte hai. asha karte hai ye example
apko samjh aaya honga badte hai next strategy ke tarf
Strategy Example
Level Break Option Strategy

Chart 1

5 Minutes Time Frame

Chart 1 me ham dekh sakte hai ki market ne gap up opening ki hai


yaha ham 2 level banane wale hai ek up side ke liye or ek down side
ke liye hame ek point hamesha yaad rakhna hai es strategy me
market upside level break kare ya fir down side level break kare
hame pullback ke baad option buy sell karna hai matlab position
banani hai
Chart 2

5 Minutes Time Frame

Chart 2 me hamne level bana liye hai upside ke liye or down side ke
liye yaha hamara time frame 5 minutes ka hai yaha ham 15 minutes
bhi rakh sakte hai but better understanding ke liye ham 5 minutes ka
time use karenge
Chart 3

5 Minutes Time Frame

Chart 3 me hamne jo level banaya tha voh break ho chuka hai yaha
ham esi confirmation ke sath trade nahi karenge hame yaha ek or
conformation chahiye jaise ki pullback
Chart 4

5 Minutes Time Frame

Chart 4 me price pullback leker uper ja raha hai or price ne joh


previous high banaya tha vo bhi break ho chuka hai yaha ham
conformation ke sath position bana sakte hai yaha ham CE buy kar
sakte hai PE Sell kar sakte hai or future buy kar sakte hai
Chart 5

5 Minutes Time Frame

Friends chart 5 me hamne buy side ka example dekha ab ham badte


hai sell side ke example ke taraf
Chart 1

5 Minutes Time Frame

Chart 1 me hamne 2 level bana liye hai buy side or sell side ke liye ab
yaha hame wait karna hai level break hone ka jaise hi dono me se
koi ek level break honga ham trade ki planning karenge
Chart 2

5 Minutes Time Frame

Chart 2 me down side ka level break ho chuka hai hame strategy ke


according yaha pullback ka wait karna hai jaise hi yaha price
pullback lenga vaha ham position banayenge
Chart 3

StopLoss Level

Previous Low

5 Minutes Time Frame

Chart 3 me price ne pullback le liya hai or joh previous low banaya


tha use bhi break kar diya hai yaha ham sell side ki position
banayenge. ham PE buy kar sakte hai CE sell kar sakte hai or future
sell kar sakte hai ham yaha PE buy karenge usi ke sath jo hamara
stop-loss honga vo previous high ke uper rahega
Chart 4

5 Minutes Time Frame

Chart 4 hamne strategy ko example ke sath samjh liya hai ab ham


badte hai hamari next strategy ke taraf
Strategy Example
Supertrend Option Strategy

Hello friends, es strategy me ham supertrend indicator ka use karne


wale hai,
sabse pahle to hame supertrend ko chart me add kar lena hai aap
ese trading view ke chart me add kar sakte hai ya fir stock broker ke
chart me bhi laga sakte hai jaise ham niche dekh pah rahe hai.

Step 1

Search Supertrend Here


Click Here
Jaise hamne uper dekha usi tara se hame chart me indicator add kar
lena hai

Friends es strategy me hame market ke sentiment ke uper dhyan


dena hai jaise ki market news par, busines news par jab hame
market sentiment positive dikhenge tab hame buy side jana hai or
jab market sentiment negative honge tab hame sell side jana hai,
es strategy me ham 3 minutes se leker 5 minutes ka chart dekh sakte
hai. better understanding ke liye ham 3 minutes ka chart dekhenge
so friends badte hai ham hamari strategy ke taraf.

Chart 1

Market Open

3 Minutes Time Frame

Friends chart 1 me market gap up open hua hai or supertrend buy


signal de raha hai but hame es strategy me market-
open hote hi trade me enter nahi hona hai qki yaha ham super Trend
indicator ke sath price action bhi use karenge
ham man lete hai ki aj market me koi news negative hai or
supertrend hame buy side ka trigger de raha hai to waha ham trade
me entry nahi karenge waha ham wait karenge kisi or trigger ka jaise
ki sell side. qki hame market me news negative mili hai

Chart 2

3 Minutes Time Frame

Friends chart 2 me hame sell side ka trigger mila matlab hame ek


confirmation mil gayi hai ab ham yaha price action use karenge jaise
ki ek pullback. jaise hi price pullback lega or previous low break
karega tab ham sell side ki position me enter karenge

Chart 3
Lower High

Lower Low
Sell Entry

3 Minutes Time Frame

Friends chart 3 me ham dekh pa rahe hai ki price ne previous low


break kar diya hai yaha ham sell kar sakte hai specially ham yaha PE
Buy kar sakte hai or CE Sell kar sakte hai
yad rahe jo previous low ko break karne wali candle banegi wo big
volume ke sath banni chahie
Chart 4

3 Minutes Time Frame

Friends chart 4 me hamne sell side ka example dekha ab ham buy


side ka example dekhenge
Chart 1

3 Minutes Time Frame


Friends chart 1 me market open hote hi price sideways ho gaya es
tarah ki momentum me hame option buy Nahi karna chahiye q ki
time ke sath option ki premium decrease hoti hai ager ap option
buyer hai hai to yaha wait karna chahiye but ager aap option seller
hai to sell side ki position es type ki market me bana sakte hai or
premium decay ka fayda yaha utha sakte hai. yaha ham man lete hai
ki market me koi news positive hai eska matlab market me hame
buy side ke trigger me hi kaam karna hai ager market sentiment
positive hai or supertrend hame sell side ka trigger de raha hai to us
type ke trigger ko hame avoid karna hai
Chart 2

Previous High

3 Minutes Time Frame

Chart 2 me price ne breakout diya uske sath supertrend ne buy


trigger de diya eska matlab hame yaha up side ki momentum mil
sakti hai hamari strategy ke hisab se hame yaha higher high ka wait
karna hai jab previous high break honga tab ham buy position me
enter karenge
Chart 3

Previous High

3 Minutes Time Frame

Friends Chart 3 me hame conformation mil gayi hai matlab price ne


previous high break kar diya hai yaha ham buy position bana sakte
hai or stoploss ham previous low par lagayenge yaha ham CE buy
kar sakte hai PE sell kar sakte hai or Future buy kar sakte hai
Chart 4

3 Minutes Time Frame

Ummid karte hai ye strategy apko achese samjh aayi hongi ager ap
option sellingkarte hai to es strategy ko use karke option selling bhi
kar sakte hai. so friends badte hai next strategy ke taraf
Strategy Example
So friends sari strategies ap sabhi ko achese samjh aayi hongi ab en
strategies par kam se kam 15 din tak live market me practice karni
hai paper trade karke uske baad 15 din tak small quantity me me real
trade karke practice karni hai ager aap beginner hai to kam se kam
60 day tak regular practice karni hai tabhi aap option trading me
profit nikal paoge maine aapse ebook ke stating me hi kaha hai ki es
market me sabse jhyada important jo hai wo experience hai jitna
jhya apke pass experience honga utna hi jhyada profit aap market se
nikal paoge jab tak aap kisi bhi ek setup par work nahi karoge tab
tab aap market se profit nahi nikal sakte esi liye es ebook ki 5
strategies mese kisi bhi ek strategy par work karo. setup ko follow
karo or discipline and patience ke sath trade karo mai 100% dawe ke
sath kahta hu aap jald hi profit me aa jaoge so friends ebook se
aapne kya naya sikha please hame feedback ke sath batyiye

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy